abhi mujh mein kahin
baaki thodi si hai zindagi
jagi dhadkan nayi
janna zinda hun main to aabhi
kuch esi lagan is lamhe mein hai
ye lamha kahan tha mera
aab hai saamne
ise chu lu zaraa
mar jaun ya jee lu zaraa
khushiyaan choom lu
ya ro lu zaraa
mar jaun ya jee lu zaraa
ho abhi mujh mein kahin
baaki thodi si hai zindagi
ho dhoop mein jalte hue tan ko
chaya ped ki mil gayi
ruthe bache ki hasi jese
phuslane se fir khil gayi
kuch esa hi abb mehsoos dil ko ho rha hai
barsoo ke purane zakham pe marham laga sa hai
kuch esa rehem is lamhe mein hai
ye lamha kahan tha mera
aab hai saamne
ise chu lu zaraa
mar jaun ya jee lu zaraa
khushiyaan choom lu
ya ro lu zaraa
mar jaun ya jee lu zaraa
dor se tooti patang jesi
thi ye zindagani meri
aaj hun kal ho mera na ho
har din thi kahani meri
ek bandhan naya peeche se aab mujhko bulaye
aane vale kal ki kyun fikar mujhko sata jaye
ek esi chubhan is lamhe mein hai
ye lamha kahan tha mera aa..
aab hai saamne
ise chu lu zaraa
mar jaun ya jee lu zaraa
khushiyaan choom lu
ya ro lu zaraa
mar jaun ya jee lu zaraa |